way to success

____________________________________

Monday 14 December 2015

BAKSHISH KA DAR

December 14, 2015 By Unknown




Ek shaks "HAZRAT IBRAHIM BIN ADHAM" ki khidmat main hazir ho kar arz karne laga: Ae ABU ISHAQ! maine apne ap per boht zulm kiya, mujhe koi aisi baat bataye jo dil per asar kare or gunahon se baaz ajaun. Ap ne farmaya: agar tum paanch baatein qabool kar lo or in per qaadir ho jao to phir tumhe na koi nuqsaan pohncha sake ga or na hi koi dunyavi lazat tumhe halaq kar sake gi. Us ne poocha: ABU ISHAQ! wo paanch baatein konsi hai
                                                                                                                                           Apne farmaya:agra tum ALLAH ki nafarmni karna chahte ho to phir US ka rizq mat khao. Usne kaha: phir kya khaon, zameen main jo kuch bhi hai,wo sara USSI ka hai? Apne farmaya: phir tum hi batao kya ye achi baat hai k US ka rizq bhi khao or US ki nafarmani bhi karo? us ne jawab diya: ye koi achi baat nahi.
                                                                                     Ab Aap dusri baat byan farmayen. Aap ne farmaya: agar tum US ki nafarmani karna chaho to phir US k ilaaqe me na raho. Us ne jawab diya: ye to pehli se bhi zyada mushkil hai, mashriq-o-maghrib or un ke darmiyan ka sara ilaaqa USSI ka hai,to phir main kahan reh sakta hun? Aap ne farmaya: kya ye achi baat hai k rizq bhi USSI ka khao, USSI k ilaaqe me raho or phir US ki nafarmani bhi karo?                                                                                             Us ne kaha: teesri baat farmayen. Aap ne farmaya: agar US ka rizq khane or US k ilaaqe me rehne k baawajood US ki nafarmani karna chaho to aisi jaga karo,jahan WO tumhe na dekhe. Us ne jawab diya: IBRAHIM! ye kaise mumkin hai, WO tamam khufiya or posheeda baaton ko jaanta hai,US se koi insaan kaise chup sakta hai? Aap ne farmaya: kya ye achi baat hai k rizq bhi USSI ka khao, raho bhi USSI k ilaaqe me or jab nafarmani karo to WO tumhe dekh bhi raha ho? us ne kaha: nahi ye koi achi baat nahi.                                                 Ab chothi baat byan farmayen. Aap ne farmaya: jab tumhari rooh qabz karne k liye MULKUL MOUT tumhare paas aye to us se ye kaho k mujhe thori si mohlat de do takeh main sachi toubah kar lon or kuch neik amal kar lon to kya wo tumhe mohlat de ga? us ne jawab diya: hargiz nahi! Aap ne farmaya: jab tumhe is baat ki qudrat nahi k MULKUL MOUT ko taal kar toubah kar lo or tum khub jaante ho k ayi mout ko hargiz taala nahi ja sakta to phir nijaat kaise mumkin hai?                                                                                                                 Us ne kaha: paanchvi baat irshaad farmayen. Aap ne farmaya: jab qayamat k din dozakh k farishte tumhare paas ayen takeh ghaseet kar tumhe dozakh me le jayen to kya tum un k saath jaane se inkar kar sako ge? us ne jawab diya: nahi, wo mujhe nahi choren ge, meri koi muazarat qabool nahi kren ge. Aap ne farmaya: phir nijaat ki umeed kaise kar sakte ho?                                                                                                                                               Us ne kaha: IBRAHIM! bus ye waaz-o-nasihat mere liye kaafi hai. main ALLAH k hazoor sadaq dil se toubah o istagfaar karta hon. phir us ne Aap ki sohbat-o-rifakat ko ikhtiyar kar liya or baki sari zindagi Aap k saath mil kar ALLAH ki ibaadat-o-riyazat main basar ki hatta keh mout hi ne dono ko ek dosre se juda kiya

0 comments:

Post a Comment